Tuesday, December 23, 2014

Intazaar Rahega ( Part 2 )

ye teri narazgi itni gehri thi
ki mujhe rok na saka
gar rokna chaha 
to lafzon ka sath na mila

wo narazgi nahi
tera haq tha mujh par
wo tera nhi
waqt ka kasoor tha 

tu itne kareeb tha 
khud tujhe andaaza nahi
ye mera yakeen hai
tu khud anjaan nahi

jo baat teri jubaan pe aai nahi
wo mujh tak pahunch hi gayi
phir kaise yakeen kar lun
tu paas nahi






















Sushmita...

Monday, September 22, 2014

Intzaar Rahega - Part 1


Intzaar,,,,,,,
   Sham ki chaiii hath me le kar socha... kuch  waqt kisi khaas ke sath guzara jaye... ek shaqs jisko uske pal-pal ki khabar rehti hai. Lo chal diye  phir us jagah jahan aksar mulaqat hua karti thi. Na to pehle wo jagah itni shant  thi na hi aaj.. sukoon bhar ke palon ko khamoshi se dhundhne chaley the  , socha mulaqat hogi to bahut se vakya honge aur sawal jawab ki jhadi lag jayegi... 

   Kadam aage badh rahe the,, jaise kisi khaas se milne jao aur dimag me kai sawal question mark ghoomne lagte hai bilkul wohi chehal-pehal us waqt uske dimag me bhi thi..... aakhirkar pahunch hi gaye.. wo seat aaj bhi yehi kehti hai ki is par bas tumhara hi haq hai jaise wo jagah sirf us hi ke liye bani ho.. bejijhak wo phir se us jagah ja kar baith gyi..  

  "Haaaan",,, ek awaaz sunai di,, jo uske kaano me nahi dimag tak pahunch gyi thi... 
Aksar aisa tabhi hota hai jab koi apka apna kuch kehna shuru karey aur aapka dimag  calculation,duniya daari samaaj sab se door sirf uski baat sunne ke liye ek jagah ekatrit ho jata hai. Bilkul waisa hi ehsaas tha kuch. Ab chehre pe muskurahat na aaye aisa to ho nhi sakta .... per shayad aisa nahi hua..... Ek gehri saans li aur sawal kataar ban kr bikharne lagey... jisko samaitna bahut zaroori tha... aur isi liye to wo aaj shaam ki chaai ka waqt kisi khaas ke sath guzaarne nikli thi.... 

    Waqt to kisi ke liye rukta nahi,,, ghari to ishare karti hi hai par kudrat se bach kar kahan jayenge?? Sham ka dhalta suraj bhi keh raha tha bas Kuch Hi Waqt Hai Is Lamhe Ke Liye....Bina waqt zaya kiye hath me chai le kar baith hi gaye,,, ab jis kaam ke liye aaye wo bhi to karna tha... Garam- Garm Chaaii Ki ek sip lena aur Intzaar karna kabhi kabhi sach me mushkil ho jata hai....... 

     Aur phir ek baar Kuch- Baatein adhoori hi sahi......... Intzaar rahega 





















Sushmita....

Wednesday, June 11, 2014

Chal Chalein..



ye tera waqt bhi kitna keemati ban jata hai kabhi kabhi....
Beetein din ki yaad me bs kuch yunhi ..

ek thehraav tha , umeed thi
par waqt aisa guzarta chala gya 
us parindey ne is nagar aana hi chhor dia...

kabhi to mann kiya
tujhe sanwaar kar 
sahej kar rakhu itne kareeb
ki tera saaya bhi mere saaye se
kuch lafz kehne me sharma jaye
bs ek ehsaas ko jiye... 

tujhse na koi shikayat hai
na narazgi
tera sath bhi bada khoob hai
tu kal bhi tha aaj bhi hai

uski yaadon me shamil
wo waqt kal bhi tha
aur aaj bhi hai
ye waqt kabhi ek sa nahi rehta
phir kyu tu ek hi jagah hai rehta..... 











~ Sushmita...