Monday, January 11, 2010

10/11 january....

        11 january ek aur thanda thanda din (ha ha ha), last year se jyada thand hai is baar. Aji sardiyo me thand nahi hogi to kab hogi.. chaliye गप-शप  karte hai , aaj ki khichdi kaise paki i mean aaj poora din kya kiya maine...

मैं एक ख़ास पल, जो मेरे लिए था उसे आपके साथ बांटना चाहूंगी ...

          
       Aaj evening me mujhe ek awaaz sunaai di bahut hi khubsurat awaaz . Ji haan ji haan jaanti hu aap kahenge Awaaz MADHUR hoti hai KHUBSURAT nahi par aisa kehne se mein nahi ruk saki kyunki itni UMDAA awaaz, itna tej, itni graceful,dil tak pahunchne wali awaaz jo parichaye de rahi thi ki yeh aur kisi ki nahi ek naye kalaakar ek naye singer TOSHI SABRI ki hai. Toshi Shabri ki awaaz ki deewani mein tab se hu jab se Toshi ne apne safar ki shuruwaat VOICE OF INDIA prgrm se ki thi aur mujhe aaj bhi yaad hai Toshi ne apni pehchaan kuch hi dino me bana li thi aur bado se le kar youth tak ko yeh awaaz bahut pasand aai. Apne pehle audition me Toshi ne ek sufi geet gaya jiske bol the - PIYA RE... aur apne pehle hi audition performance itni best di thi ABHIJEET DA ne kaha " jab hamaare desh me 24 carat ka gold milta hai to videsho se 18 carat gold ki kya jarurat hai" itni badi taareef audition me hi ...

     Maine har ek gaana suna hai jo bhi ab tak Toshi ne gaya , ek dum laazawaab singer hai. Sufiyaane ke baadshaah. Kuch yu hua aaj mein kitchen me thi aur papa tv par AMUL MAHA MUQABLA dekh rahe the achaanak mujhe awaaz suni di main aise paaglo ki tarha room me aai aur sab ko kaha chup ho jaao Toshi aa gaya ( ha ha ha) Toshi ne hamesha ki tarha ek aur sufi geet gaya SAIYYAN.... jis geet me Kailash kher ne apni awaaz di hai , par Toshi ne yeh gaana gaya aur kamaal gaya.
    
     Aaj poore din ka mera favourite song SAIYYAN meri jubaan par chad gaya hai , kaash mujhe ek mauka mile aur is gaane ko mein sirf us insaan ko sunaau jo mere liye bahut khaas ho us din ka intazaar rahega jab mein poore dil se ye gaana kisi ko sunaau . Darasal mein kabhi kisi ko gaana nahi sunaati thoda sharmaati jyada hu ( ha ha ha ) ... aur kabhi gaaya bhi hai toh aisa ke sunne me bura na lage kam se kam thik thik lage .

    Ek dil ki khwaaish hai jise bhi me gaana sunaau wo bahut hi dil se gaaya ho aur awaaz par dhyaan na de kar gaane ke lyrics samjhe .... (ha ha ha) meri awaaz achhi nhi hai phir bhi kuch baatein karne ke liye koi aur  zariye bhi apnaaya jaata hai jaise ki maine pehle bhi kaha tha MUSIC IS THE LANGUAGE OF THE SOUL .......




                                                                    dream....



Sushmita..

2 comments:

  1. Hi Sushmita,
    ur blog is too real & really heart touching.
    i really like it.
    ur blog is very near about life.
    truly says,
    when i m read it, i m really gone somewhere.
    really too good.
    so pls dont stop writing.
    write everything that u feel.
    Regards,
    Lovely

    ReplyDelete