Tuesday, December 1, 2009

Kaise Kahein...

kuch khwaish adhuri poori si
rishton me uljhe hue se kuch adhure sapne
kehne ko bahut kuch per kehte waqt khamosh
aankho me ek umeed


Khwaish-kuch paane ki
Adhura-sapna
Khamosh-alfaaz
Umeed- Khwaish poori ho, Adhura kuch na rahe, Khamosh pal na ho..

Har ek waykti ki roz marra ki zindagi me yeh kuch shabd jarur aate hai... koi in sab shabdon se jeet jaata hai, koi in sab se haar jaata hai, koi in sab se darta hai toh koi in sab ke beech ghir jata hai....  aur koi inhi ke sahaare aage chalta rehta hai.


jitne log utne vichaar, alag alag soach
Khair chodiye .....


kabhi kabhi toh mujhe khudh nhi pata chalta mein kya soach rahi hu aur kya likh rahi hu, kya kehna chahti hu.. pata nhi,
thanda mausam hai raat ka pehar aur kuch pal gaane sunte sunte kahin aur hi kho jati hu
jaise ki ab


Music is the language of the SOUL.....


Kyu kabhi apni baaton ka ijhaar karne ke liye songs ka sahaara lena padhta hai ,, khushi me, udaasi me??





yaa kabhi kabhi aap apne aapko songs ke lyrics me music me itna kho dete hai ke aisa lagne lagta hai yeh aap hi ke liye likha gaya hai....

kabhi saadgi se is geet ko suniyega ( PIYA GHAR AAVENGE-KAILASH KHER   http://www.youtube.com/watch?v=Cs1530vkhko)..

is song ki sab se khaas baat yeh hai.. lyrics ke sath instrumental music itna achcha hai ke aapko kahin na kahin bahut achcha lagega...  Dusri baat yeh ke me KUCH BAATEIN aur keh saki yeh song sunte sunte..
aur jitni bhi tej lehre uth rhi thi mann me, thodi shaant hui...


Kehne Ko Bahut Kuch Per ....

No comments:

Post a Comment