Thursday, December 17, 2009

Teri justajoo

  Aaj subha late uthi aur roz ki tarha phir mera ghar ka kaam late hi khatam hua,, hamesha ki tarha ek hi dialog ' Ho Gaya Tera Tym Uthne Ka'  mmi ne kaha .... 
uthi ghar ka kaam kia phir finally mein 4bje free hui .. aur free hote hi mein roz apna jyada waqt songs sun kar beetati hu aaj bhi aisa hi hua. jara bataaiye aap ek gaana continue kitni baar sun sakte hai?  bahut hi kam hota hai ki aap kisi gaane ko baar baar lagaatar sune .... aaj mere sath kuch aisa hi hua , jyadatar sufi songs ki pasand rakhti hu mein , sufi songs sufi instrumental music ya instrumental piano music jise sun kar ek alag hi ehsaas hota hai,sukoon milta hai .... 
 
  Sufi songs ( jiske lyrics aapki rooh ko chu jaaye , music aisa jise sun kar aapke haath ki fingers apne aap thirakne lage) , jise sun kar itna sukoon milta hai... waise itni knowledge nahi hai sufi songs ki par kuch ek jo bhi sunti hu bahut pasand karti hu ....

 Jab se aaj free hui ek hi song sun rahi hu ye samajh lijiye abhi raat ke 10 baj rahe hai aur mein ab tak bore bilkul nahi hui ..... TERI JUSTAJOO (Saawre)
 bahut hi pyaara geet hai jisko awaaz di hai Roop kumar Rathor Ji ne , inhone itna bakubi gaya jitni baar bhi sunu utna kam hai. 
 kaafi dino baad jaise tabiyat thik na hone ki wajah se thodi chidchidi aur gum sum si ho gyi thi par aaj bahut relax feel kar rahi hu , bahut hi achha lag raha hai .... jaise mujh mein jaan aa gayi aur khush bhi hu aaj ..

teri justajoo
teri justajoo

saawre saawre saawre..

tere bin suni suni hai ankhiya
tere bina lamha lamha hai sadiya
suna suna jahan lage re..
saawre saawre saawre

teri justajoo
teri justajoo

tu hi mere dil ki dua
tu hi meri har khushi
shaamil hai tu rooh me
tu hi meri zindagi

teri yaadon ka sawaan hai
pyaasi pyaasi yeh dhadkan hai
bas tu nazar aaye re..
saawre saawre saawre


sayiaan se raat bhar
karte hai hum guftagu
armaan ki bheedh me
teri hi hai justajoo

suni suni yeh hasrat hai
kaisi teri yeh mohabbat hai
kuch na mujhe bhaye re

saawre saawre saawre

tere bin suni suni hai ankhiya 
tere bin lamha lamha hai sadiya
suna suna jahan lage reeeeee............

saawre saawre saawre...



is song ki video bahut hi achchi hai .... par maine kuch alag hi imagine kia
agar aisa hota...

ek gum sum si ladki
akeli , kisi ke intzaar me
aas paas bahut shaanti



aur aankhe band karte hi uski aankho mein se ek aansu baahar aata hai tabhi
sochte sochte wo khyaalo mein kho jaati hai ....

 jis ki raah takte aaj wo ro rahi hai.. kabhi wo usko yaad kar ke muskuraati bhi thi
usko wo pal yaad aata hai jab baarish mein aise hi wo khil uthti thi
jhumti thi, naachti thi






jab bhi baarish hoti wo yuhi muskuraati yaad karti aur bheegti
maano jaise yeh baarish yeh samaa usi ke liye ho , uski khushi mein shaamil ho

aur aise hi


bheegti rehti ..


Itna bhi sad song nahi hai ke ismein kuch sad sad sa mood rahe
mujhe to bahut achha feel hua
isi ladki ki tarha jo baarish me jhoom rahi hai



kyunki


ji haan aaj to mera din ban gaya,, din bhi achha raha aur khush bhi hu
kaafi dino baad aisa achha gaana sunne ko mila.....

1 comment: